Jaane kyon zind…

Jaane kyon zindagi ki raftar tham si gayi hai. Sarpat daudti car ko break lag si gayi hai. Bas thodi door rah gayi thi manzil, par kyon yeh baarish padne lagi hai.

Yeh dharti yeh ambar, sab mere liye hai. Jahan ki sab khushiyan, mere liye hain. Par kyon yeh baarish padne lagi hai.

Uth. Jaag. Yeh baarish nahi hai. Yeh hai teri pariksha, par teri manzil wahin hai. Na doori badi hai, na shakti ghati hai, toh yeh chinta kyon aane lagi hai.

Badna hai aage. Is manzil ko chhona hai. Yeh manzil sirf ab mere liye hai. Ji karta hai is manzil ko chho loon, bikheru khushiyan aur sabke aansoo le loon.

0 0 votes
Article Rating
Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
Back to Top
error: don\'t copy but please share...
Please Share! No Copy-Paste
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x